rahat-e-qalb-o-jigar garmi-e-bazar se hai aaj-kal ghar ka tasawwur dar-o-diwar se hai zindagi hi ne nahin jhatka hai daman apna chaaragar maut bhi ruthi hui bimar se hai jama-e-unsur-e-hasti ko kahin phenk aaun zindagani ki musibat to inhi chaar se hai marham-e-talkhi-e-guftar kahan se laun zakhm gahra tere alfaz ka talwar se hai kar-e-wahshat ko sar-anjam yahi to dega kaam abhi hum ko bahut kuchh dil-e-be-kar se hai chhod deta hai jahan sans bhi insan ka sath ab safar zist ka us manzil-e-dushwar se hai tera andaz-e-sukhan 'khizr' juda hai sab se teri pahchan hi zalim tere ashaar se hai