shab-e-mahtab bhi apni bhari-barsat bhi apni tumhaare dam-qadam se zindagi thi zindagi apni yahan pabandi, naraazi, jununi baat hai warna jamal-e-yar se kuchh kam nahin tabindagi apni mujhe shadabi-e-sahne-e-chaman se khauf aata hai yahi andaz the jab lut gai thi zindagi apni tumhaara gham ise aashob-e-sarasar bachae ga hawaon se bhadak utthi hai sham-e-zindagi apni magar tum bhi to ek bu-e-gurezan ki tarah nikle guzarne ko guzar jati bahaar-e-dosti apni zahir is chashm-e-awwal pe yunhi mahsus hota hai badi muddat se hai jaise kisi se dosti apni