dost ban kar doston ki bewafai dekhiye kaj-adai dekhiye be-e'tinai dekhiye rahguzar-e-shauq mein hum rakh to baithe hain qadam jaane kab manzil pe ho apni rasai dekhiye kis bala ka sehr tha un ki nigah-e-naz mein dil ne khud badh kar nazar ki chot khai dekhiye mere sajdon ke muqaddar mein wo sang-e-dar na tha meri peshani pe dagh-e-na-rasai dekhiye ishq mein nam-o-nasab ka kis ko rahta hai khayal hai nasib-e-ishq mein to jag-hansai dekhiye zindagi mein hum ne dekhin uljhanen hi uljhanen uljhanon se kis tarah hogi rihai dekhiye zindagi ka ek pal bhi chain se guzra nahin jab se ki taslim dil ki rahnumai dekhiye aap ne naraaz ho kar jab se aankhen pher lin meri dushman ban gai sari khudai dekhiye jal rahi hun kab se ai shahnaz apni aag mein ab sarir-e-khama ki shoala-nawai dekhiye