shab-e-siyah hua roz ai sajan tujh bin misal-e-shama jale ahl-e-anjuman tujh bin hui hai jaan mujhe zindagi maran tujh bin kafan hui hain badan ke upar basan tujh bin na shahr bich mera dil lage na sahra mein kuchh aawati nahin ai mah mujh sin ban tujh bin hua hai aag ka shoala sharab pyale mein laga hai jaan laban kun mere dahan tujh bin udas dil pe hamara kahin na ja parcha kathin hua hai mujhe shahr mein basan tujh bin kabhi to yaad kar ikhlas fatiha kahna ki 'abru' ka hua hijr sin maran tujh bin