shab-e-visal mein dil par qalaq abhi se hai sahar hai dur mera rang faq abhi se hai hunuz dafn hua hi nahin tera bismil ki zalzale mein zamin ka tabaq abhi se hai main likh chuka hi nahin haal-e-dil ki us ki taraf hawa-e-shauq mein udta waraq abhi se hai chala nahin wo irada hi sair-e-mah ka hai pa nazuki se jabin par araq abhi se hai kisi ne sham ke aane ko kya kaha 'ishrat' ki munh pe aap ke phuli shafaq abhi se hai