tashrif shab ko lana kyon aar jaante hain shayad ki aap hum ko bad-kar jaante hain zulfon ke pech mein hum go jaante nahin kuchh par sar patak ke apna man mar jaante hain wahshat mein jo jo hum ne pathron se sar ko mara sahra mein ja ke puchho kohsar jaante hain afsos jin ki khatir yun khalq mein subuk hain khatir ka apni hum ko wo yar jaante hain ye bhi nasib-o-qismat gul khae jin ke gham mein mahfil ka apni hum ko wo khar jaante hain mutlaq nahin hai parwa sair-e-chaman ki 'ishrat' hum dagh-e-dil ko apne gulzar jaante hain