shab-e-visal shab-e-intizar aai hai khizan mein dekhiye kaisi bahaar aai hai hazar ghuncha-e-gul par bahaar aai hai saba chaman se magar be-qarar aai hai kis ki yaad jo rukhsat hui mere dil se sahar udas to shab sogwar aai hai hamari ruh fana ki masarraton ke liye qaba-e-tan sar-e-alam utar aai hai ye mai-kashi thi ki parda-dari ki mahfil mein kisi ki yaad ba-waqt-e-khumar aai hai kahin zarur hua hai chaman mein qatl-e-tuyur lahu ki bund ba-dosh-e-ghubar aai hai hazar kham thi phir bhi meri umid 'kamal' shabab-e-sham-e-tamanna nikhaar aai hai