shab-e-wada andhera chha gaya kya tum na aaoge falak par chand bhi kajla gaya kya tum na aaoge tumhaara hijr aafat dha gaya kya tum na aaoge hamara dil bahut ghabra gaya kya tum na aaoge chaman mein har taraf gulha-e-rangin muskura uthe bahaaron ka zamana aa gaya kya tum na aaoge hamari jaan par ban aati hai daur-e-mohabbat mein junun-e-dil qayamat dha gaya kya tum na aaoge kahan tak intizar-e-jalwa mein tadpen meri aankhen dil-e-betab ab ghabra gaya kya tum na aaoge mariz-e-dard-o-gham par naza ka aalam hua tari sar-e-baalin zamana aa gaya kya tum na aaoge sar-e-mai-khana ek duniya chali aati hai pine ko wo dekho mast baadal chha gaya kya tum na aaoge dam-e-akhir na thin kuchh aur baaten us ke honton par mariz-e-gham yahi kahta raha kya tum na aaoge tumhaari yaad mein 'ejaz' apne hosh kho baitha use tanhai ka gham kha gaya kya tum na aaoge