guftam ki mukh tera kya gufta suraj sun behtar guftam ki kan ka dar gufta ki bah z akhtar guftam dahan-o-ruyat gufta ki ghuncha-o-gul guftam kapol ka khal gufta ki qurs-e-ambar guftam ki chashm-e-jadu gufta ki donon khanjar guftam dhadi laban ki guft az aqiq behtar guftam kapol tere gufta ki barg-e-lala guftam ki bosa tujh lab gufta ki bah z shakkar guftam ki bhaunha teri gufta hilal donon guftam ki zulf teri gufta ki sumbul-e-tar guftam gada hun tera gufta sahi munasib guftam asir tujh kun gufta tamam kishwar guftam ki qad tumhaara gufta ki sarw-e-tannaz guftam ki dil tera kya gufta ki sakht patthar guftam ada-o-ghamza gufta bala-e-jaanha guftam itab-o-qahrat gufta ki haul-e-mahshar guftam ki 'faez' aaya gufta ki khair-maqdam guftam kujast ja-ash gufta ki bar-sar-e-dar