shab-e-wada jo na wo bani-e-be-dad aaya

shab-e-wada jo na wo bani-e-be-dad aaya
le ke paigham-e-ajal dard-e-khuda-dad aaya

tu na aaya na tera nawak-e-bedad aaya
kaun saghar-kash-e-khun-e-dil-e-nashad aaya

aashiyan mausam-e-gul mein jo mujhe yaad aaya
aise nale kiye munh ko dil-e-sayyaad aaya

jab koi kuche se us shokh ke dil-shad aaya
main ne khaya tha jo dhoka wo mujhe yaad aaya

bagh mein pesh-e-nazar jab koi shamshad aaya
mujh ko tera qad-e-be-saya bahut yaad aaya

kaisi aazadi-e-murghan-e-khush-ilhan-e-chaman
yunhi be-par ki udata hua sayyaad aaya

dil ki chori ka guman aur karun main kis par
na gaya koi na ai bani-e-be-dad aaya

dekh kar tishna-labi hashr mein hum rindon ki
jam-e-kausar liye jibril ka ustad aaya

bankpan aashiq-e-diwana-e-mizhgan ke huzur
nok ki lene kahan nashtar-e-fassad aaya

bewafa ahd-faramosh sitamgar zalim
hae aaya bhi to kis par dil-e-nashad aaya

iffat-o-sharm-o-haya ismat-o-namus-o-ghurur
kitne pardon mein chhupa husn-e-khuda-dad aaya

sakht-jaani ka meri dar tha kuchh aisa us ko
man kar nazr shahidon ki wo jallad aaya

tere bimar-e-shab-e-gham ki ayaadat ke liye
ghash kabhi aaya kabhi dard-e-khuda-dad aaya

sad kar do sifat-e-chashm mein matla jo likhun
mushaf-e-husn ka mujh ko hai yahi yaad aaya

peshwai ke liye kis ki badhi hai rahmat
kaun phailae hue daman-e-fariyaad aaya

tum to ghurbat mein bhi yaad aaya kiye ho mujh ko
main bhi yaran-e-watan tum ko kabhi yaad aaya

koh-o-sahra tere diwanon se aabaad rahe
qais-o-wamiq kabhi aae kabhi farhad aaya

mujh ko kushta nigah-e-chashm-e-inayat se kiya
qatl ko mithi chhuri le ke wo jallad aaya

baithe baithe tumhein phir mashq-e-sitam ki sujhi
tum ko bhula hua phir aaj sabaq yaad aaya

khush-qadon ne jo kiya sher-o-sukhan ka jalsa
tarah hone ke liye misra-e-shamshad aaya

pahre padte hain ajal ke sahar-o-sham yahin
dekh ai 'badr' sanbhal kucha-e-jallad aaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close