sahun na hijr ke sadme kabhi visal ke baad

sahun na hijr ke sadme kabhi visal ke baad
koi khayal nahin dil mein is khayal ke baad

gham-e-firaq nahin muzhda-e-visal ke baad
shugun-e-bad ka asar kya ho nek-fal ke baad

kisi tarah to dahan ka subut mil jata
jawab ek bhi dete wo sau sawal ke baad

fareb dene ko sayyaad uda na be-par ki
bahaar aaegi gulshan mein ek sal ke baad

na phulo munimo zartar hai agar malbus
galim odhte dekha hai main ne shaal ke baad

kisi ko ab nahin madum ke wajud mein shak
khula hai raaz-e-dahan lakh qil-o-qal ke baad

ghalat ye hai ki pas-e-ranj hoti hai rahat
khushi ka munh nahin dekha kabhi malal ke baad

huzur-e-dawar-e-mahshar thahar chuke qatil
ye bahs kaisi nikali ab infial ke baad

yahan to aaj hi jine ke pad gae lale
shabab aaega zalim ka chand sal ke baad

wo shokh ahd-shikan bhi hai ai dil-e-nadan
gham-e-firaq bhi hai muzhda-e-visal ke baad

hua hai be-hama wo shokh bahama ho kar
firaq ho gaya madd-e-nazar visal ke baad

tumhaari zulf ka sauda tha kya junun-afza
mizaj rah par aaya na ikhtilal ke baad

jo qurb-tar tha rag-e-jaan se wo hai arsh-nashin
huin hain duriyan paida ye ittisal ke baad

khayal mizhgan ka nashtar-shikan rahe dil mein
ki zakhm mein na rahe chur indimal ke baad

khabar nahin tujhe ai chashm-e-shauq-e-did-talab
badhengi aarzuen aur dekh-bhaal ke baad

yahi hain lail-o-nahaar ai falak gharibon ke
mila bhi wo mah-e-kaamil to mah-o-sal ke baad

ye aa ke baiat-e-dast-e-subu agar kar le
banaun pir-e-mughan shaikh ko kalal ke baad

jo yaad-e-nargis-e-jadu ho dasht-e-ghurbat mein
udaun khak main gard-e-ram-e-ghazal ke baad

chadhain tyoriyan kya kya na ja-e-chadar-e-gul
jo aae bhi sar-e-turbat wo intiqal ke baad

numu-e-khat hua khurshid-e-husn dhalne laga
zawal ka hua aaghaz lo kamal ke baad

main dil ko deta hun taskin ye hijr mein kah kar
milengi rahaten ranj-o-gham-o-malal ke baad

asir-e-dam kiya mujh ko hirs-e-dana ne
farefta hua gesu ka ishq-e-khal ke baad

gharib-khana to daulat-sara ke hai nazdik
kabhi guzar ho idhar bhi to mah-o-sal ke baad

na bhulna shab-e-furqat ki talkh-kaami ko
maza kuchh aur bhi hai lazzat-e-visal ke baad

ye aabru ki hai qimat ata na kah is ko
diya gada ko agar tu ne kuchh sawal ke baad

khamida shakl-e-mah-e-nau hua hun piri mein
zawal 'badr' ko hone laga kamal ke baad

qamar ki tarah na hon kahishen kabhi us ko
zawal 'badr' ko ya-rab na ho kamal ke baad


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close