shab ke gham din ke azabon se alag rakhta hun sari tabiron ko khwabon se alag rakhta hun jo padha hai use jina hi nahin hai mumkin zindagi ko main kitabon se alag rakhta hun us ki taqdis pe dhabba nahin lagne deta daman-e-dil ko hisabon se alag rakhta hun ye amal ret ko pani nahin banne deta pyas ko apni sarabon se alag rakhta hun us ke dar par nahin likhta main hisab-e-duniya dil ki masjid ko kharabon se alag rakhta hun