simtun to sifr sa lagun failun to ek jahan hun main jitni ki ye zamin hai utna hi aasman hun main mere hi dam-qadam se hain qaem ye naghma-khwaniyan gulzar-e-hast-e-bud ka tuti-e-khush-bayan hun main mujh hi mein zam hain jaan le dariya tamam dahr ke qatra na tu mujhe samajh ek bahr-e-be-karan hun main nazan hai khadd-o-khal par apne bahut agar to sun mujh mein sabhi ke aks hain aaina-e-jahan hun main pahle bhi main qarib tha ab bhi tere qarib hun mahsus kar mujhe tera ham-zad-e-jism-o-jaan hun main phulon se pyar kar magar mujh ko na dil-figar kar kanta bhi hun agar to kya phulon ke darmiyan hun main apnon mein main hi ghair hun ghairon se kya gila 'zafar' apne hi ghar mein hun magar ghairon ke darmiyan hun main