shab ke pur-haul manazir se bacha le mujh ko main teri nind hun aankhon mein chhupa le mujh ko main teri rah-e-mashiat ka hun zarra lekin dhundhne wala sitaron mein khangale mujh ko khauf aankhon mein meri dekh ke chingari ka kar diya raat ne suraj ke hawale mujh ko main musawwir hun bure waqt ki taswiron ka ras aate hain ye diwar ke jale mujh ko umr bhar jis ke liye pet se bandhe patthar ab wo gin gin ke khilata hai niwale mujh ko bediyan dal ke parchhain ki pairon mein mere qaid rakhte hain andheron mein ujale mujh ko tere hathon ka tarasha hua patthar hun 'salim' aaina ho gae sab dekhne wale mujh ko