hai shauq to be-sakhta aankhon mein samo lo yun mujh ko nigahon ke taraazu mein na tolo main bhi hun kisi aankh se tapka hua moti mujh ko bhi kisi reshmi dori mein piro lo laya hun main khud dil ko hatheli pe saja kar is jins ke bazar mein kya dam hain bolo main kanch ke tukdon ki tarah bikhra pada hun bhule se kabhi mujh ko bhi panw mein chubho lo phir jaaniye kab waqt ki raftar thamegi thahre hue lamhe ko nigahon mein piro lo ab koi bikherega kadi dhup mein gesu khud apne hi dil ke kisi tah-khane mein so lo din bhar to 'rashid' aap ko hansna hi padega rona hai to ab raat ki tanhai mein ro lo