shab ki aaghosh mein jaga hua ghar kis ka hai

shab ki aaghosh mein jaga hua ghar kis ka hai
us pe aaseb nahin hai to asar kis ka hai

aisa sailab ki jangal ko baha le jae
aise sailab mein be-barg shajar kis ka hai

ungliyon mein utar aae hain basarat ke rumuz
tirgi mein rahe makhfi ye hunar kis ka hai

be-charaghi hi rahi apne gharon ki miras
raushni puchhti phirti hai ki dar kis ka hai

wo musafir to gaya chhod ke yaaden apni
kis ko batlaun ki ye zad-e-safar kis ka hai

tum meri rah se ho kar nahin guzre ho to phir
naqsh-e-pa ye taraf-e-rahguzar kis ka hai

phir se madhosh-e-tamanna ke hue hosh-ba-ja
hum pe 'abid' ye karam bar-e-digar kis ka hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close