shab ki bahaar subh ki nudrat na puchhiye kitna hasin hai khwab-e-mohabbat na puchhiye phulon ki gham-rasida masarrat na puchhiye zahir mein khanda-zan hain haqiqat na puchhiye wo din gae ki thi mujhe pursish ki aarzu mahbub ho ke ab meri haalat na puchhiye hathon se dil ke chhut gaya daman-e-umid kya mil gaya jawab shikayat na puchhiye dil ko na hogi tab-e-gham-e-be-tawajjohi lillah dastan-e-mohabbat na puchhiye yun dekhte hain jaise udhar dekhte nahin us lutf-e-be-gharaz ki nazakat na puchhiye