ye zara sa kuchh aur ek-dam be-hisab sa kuchh sar-e-sham sine mein hanpta hai sarab sa kuchh wo chamak thi kya jo pighal gai hai nawah-e-jaan mein ki ye aankh mein kya hai shola-e-zer-e-ab sa kuchh kabhi mehrban aankh se parakh is ko kya hai ye shai hamein kyun hai sine mein is sabab iztirab sa kuchh wo faza na jaane sawal karne ke baad kya thi ki hile to the lab, mila ho shayad jawab sa kuchh mere chaar jaanib ye khinch gai hai qanat kaisi ye dhuan hai khatm-e-safar ka ya tute khwab sa kuchh wo kahe zara kuchh to dil ko kya kya khalal satae ki na jaane us ki hai baat mein kya kharab sa kuchh na ye khak ka ijtinab hi koi rasta de na udan bharne de sar pe ye pech-o-tab sa kuchh sar-e-sharh-o-izhaar jaane kaisi hawa chali hai ki bikhar gaya hai sukhan sukhan intikhab sa kuchh ye bahaar-e-be-sakhta chali aai hai kahan se tan-e-zard mein khil utha hai pile gulab sa kuchh are kya bataen hawa-e-imkan ke khel kya hain ki dilon mein banta hai tutta hai habab sa kuchh kabhi ek pal bhi na sans li khul ke hum ne 'bani' raha umr bhar bas-ki jism o jaan mein azab sa kuchh