shab ki chadar se lipaT kar gham ka paikar so gaya

shab ki chadar se lipat kar gham ka paikar so gaya
jitni yaaden thin wo aankhon mein chhupa kar so gaya

koi meri bekasi ka is se andaza kare
rakh ke apne sar ke niche raat pathar so gaya

shumi-e-taqdir kahte hain isi ko ghaaliban
main utha to dekhiye mera muqaddar so gaya

allah allah koi is ki be-hisi ko kya kahe
sun ke tane chup raha kha kha ke pathar so gaya

raat thi kitni kathin is ka na aalam puchhiye
jis se ghabra kar ke nikla ghar ke bahar so gaya

kas qadar tufan tha kal raat bahr-e-dard main
subh hote hi wo sine ka samundar so gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close