shab ki dahliz se kis hath ne phenka patthar ho gaya subh ka mahka hua chehra patthar kuchh anokhi to nahin meri mohabbat ki shikast aaine jab bhi muqabil hue jita patthar is tilismat ki wadi mein palat kar bhi na dekh warna ho jaega khud tera sarapa patthar yaad ki lahr baha lai hai kis des mujhe hai yahan waqt ka bahta hua dariya patthar kis ke paikar mein samata mere ehsas ka loch main ne insan se khajil ho ke tarasha patthar teri aankhon mein abhi nind ke dore kyun hain yan to ek chot se ho jate hain bina patthar kund kar deta hai yun zehan ko haalat ka zahr jaise ban jae chamakta hua sona patthar teri sochon ki qasam ai mere khamosh khuda mujh se karte hain itaat ka taqaza patthar mujh se mayus na palte meri taqdir ke gham meri ungli mein na tha koi chamakta patthar kitni dildar hai sahil ki chamakti hui ret ab nahin panw-tale koi nukila patthar main sar-e-dar khada hun kai sadiyon se 'jalil' kaun marega mere jism pe pahla patthar