shab ki mutrib tha sharab-e-nab thi paimana tha wo pari-wash kya na tha goya ki jo kuchh tha na tha soz-e-dil se lab ye har dam nala betabana tha hijr-e-saqi mein kisi pahlu qarar asla na tha jalwa-gar dil mein khayal-e-ariz-e-jaanana tha ghar ki zinat thi ki zinat-bakhsh sahab-khana tha kya karun ab mubtala hun aap apne haal mein di thi neamat us ne jab lab par mere shukrana tha shohra-e-afaq hoti meri az-khud-raftagi khairiyat guzri ki aaankhon se tujhe dekha na tha fasl-e-gul mein chhodta mai dekh kar mah-e-siyam kuchh junun mujh ko na tha wahshat na thi sauda na tha kya kahun dar ye hai wo laila-ada ruswa na ho warna majnun se bhi kuchh badh kar mera afsana na tha gar nazakat mein na hota misl-e-tar-e-ankabut khub ulfat se zamana mein koi rishta na tha yun zaifi aa gai goya azal se the zaif aur shabab aisa gaya jaise kabhi aaya na tha hai yaqin aashiq tumhaara mar gaya ho lo khabar main ne kal dekha tha ja kar haal kuchh achchha na tha nim-baz aankhen tumhaara nam tha wird-e-zaban zakhm-e-dil par hath tha lab par magar shikwa na tha bakht ki bargasht-agi guzri hai had se ai 'habib' dekhte hain un ke talwe jin ka munh dekha na tha