naya saman hai naya ek jahan hai aur hum hain nai zamin naya aasman hai aur hum hain nae maqam nae marhale nai rahen nae irade naya karwan hai aur hum hain hamare naqsh-e-qadam hain ye mehr-o-mah-o-nujum hamari rah sar-e-kahkashan hai aur hum hain wo jis hayat pe thi marg-e-na-gahan tari wahi hayat hai aur jawedan hai aur hum hain gai wo qissa-e-ahd-e-kuhan ki baat gai naya zamana nai dastan hai aur hum hain hum apne sud-o-ziyan ke hain aap zimmedar hamara sud hamara ziyan hai aur hum hain wahi qafas jo kabhi aashiyan hamara tha wahi qafas hai ki ab aashiyan hai aur hum hain hue hain dair-o-haram se hamare kuchh paiman hamare un ke khuda darmiyan hai aur hum hain har ek rang ke phul us mein hain sharik-e-bahaar hamara mushtarak ek gulistan hai aur hum hain hamein bhi zehn-o-fikr apne badalne hain 'bismil' nae khayal ka hindostan hai aur hum hain