shab ki palkon pe hun thahre hue aansu ki tarah subh hote hi main kho jaunga jugnu ki tarah dekh sakta nahin mahsus to kar sakta hun mujh mein tahlil hua hai koi khushbu ki tarah raqs karta hai mere dil ke shabistan mein koi aur sada aati hai bajte hue ghunghru ki tarah meri khushbu hi pareshan kiye hai mujh ko dil ke sahra mein bhatakta hun main aahu ki tarah mere haalat hi khud mujh ko bana dete hain kabhi shoala kabhi shabnam kabhi aansu ki tarah khalwat-e-shab ho ki jalwat ki hasin mahfil ho hum ne mahsus kiya hai use khushbu ki tarah dhup mein aata hai jab us ka tasawwur 'afzal' mere ehsas pe chha jata hai gesu ki tarah