ek se padte hain donon maqbaron par phul bhi jannat-ul-firdaus mein qatil bhi hai maqtul bhi dekh ai duniya hamein tartib dena chhod de tu bigadegi hamara roz ka mamul bhi un hasin hathon ne likh kar jab mitaya mera nam main yaka-yak ho gaya gumnam bhi maqbul bhi ye jo tane de rahi hai barq-raftari mujhe wajd mein aa jaun to pae na meri dhul bhi un dinon sab zawiye ek shakl par markuz the jin dinon ijad ke raste mein tha shaqul bhi ek sukhan par dad mil jati hai ek par lan tan baat main maqul bhi karta hun na-maqul bhi