shab ko meri chashm-e-hasrat ka sab dard-e-dil un se kah jaana danton mein daba kar hont apna kuchh soch ke us ka rah jaana mai-khane mein aana zahid ka phir dar pe thithuk kar rah jaana saqi ke ishaaron ka maston kuchh kan mein sab ke kah jaana ai yas na manunga teri bas dil ko ziyaada ab na dukha samjha chuki us ki paheli nigah dukh-dard jo ho wo sah jaana mana ki faqat mauhum sahi milne ki hamein ek aas to hai didar to ho le dida-e-tar bahna ho agar tab bah jaana nale hon ki aahen ai shab-e-gham jab aa gain lab par sabr kiya sahne ko to sab kuchh dil ne saha sahne ki tarah kab sah jaana buniyaad jamane mein jin ki kya kuchh na baha tha khun-e-jigar ai wa-asfa un mahlon ka ek chashm-e-zadan mein dah jaana shab ko wo hatheli se un ka sharma ke chhupana aankhon ko barchhi ka ada ki chal jaana us tir-e-nazar ka rah jaana utre na kisi ke jab dil mein us baat ka hasil kya waiz kahne ko kahi yun apni si afsos na tu ne kah jaana hum bagh mein nahaq aae the bulbul ki hikayat kya kahiye minqar ko rakh kar kaliyon par kuchh apni zaban mein kah jaana sun len dil-e-nadan ki baaten be-kar bigaden kaam apna wo zulm karen hum par ki sitam ai 'shad' hamein to sah jaana