siyahkar siyah-ru khata-shiar aaya teri janab mein tera gunahgar aaya khizan ka daur gaya mausam-e-bahaar aaya magar na is dil-e-be-sabr ko qarar aaya kahin jawab na tu ne diya yahan ke siwa jahan mein yun to bahut main tujhe pukar aaya sara-e-dahr mein chhoda tan-e-kasif apna ye bojh sar se musafir tera utar aaya hamare nala-e-dil ka na puchhiye ahwal gali se yar ki himmat bhi ab ke haar aaya padi jo qais ke upar nazar bayaban mein mujhe gharib ke upar ghazab ka pyar aaya na apne panw se aana mila gali mein teri yahan bhi chaar ke kandhon pe main sawar aaya ye iztirab hai kyun hai kidhar ka qasd ai ruh kahan se aai talab kis jagah se tar aaya bura khizan ka ho dekhe jo sukhe sukhe hont gharib phul pe mujh ko ghazab ka pyar aaya meri na puchh ki teri gali mein khak hun main tujhi ko meri wafa ka na e'tibar aaya lahad ne khol ke aaghosh di jagah jo mujhe lipat ke rah gae hum ko bhi khub pyar aaya yaqin jaan le saqi ki khum ki khair nahin khuda na karda jo ab ke mujhe khumar aaya mere nasib kahan is tarah ke dida-e-tar sunun ye khush-khabari kan se ki yar aaya nigah ne un ki jahan said-e-nau ko tak liya ada ne un ki kaha le naya shikar aaya tere firaq ke khugar na mar mite jab tak qaza ke aane ka tab tak na e'tibar aaya dila palat gaya qismat ka pahle hi pasa ab apni jit kahan dil jab apna haar aaya jab ikhtiyar chaman par nahin to hum ko kya hazar bar agar mausam-e-bahaar aaya shikayat-e-dil-e-muztar kahan talak ai maut duaen dunga tujhe gar ise qarar aaya jawab-e-khat ka na qasid se majra puchho hai saf chehre se zahir ki sharmsar aaya nazar mein phir gai chaal aap ki jawani ki jo ladkhadata hua koi baada-khwar aaya jo mangte to hamein baghban se kya milta gharib phul to daman ko bhi pasar aaya na apne nala-e-dil ko mila jawab kahin nikal ke dil se tujhe arsh tak pukar aaya adam mein 'shad' ko kya walwala ho jannat ka ki ye gharib to hasti se dil ko mar aaya