shab ko nala jo mera ta-ba-falak jata hai subh ko mahr ke parde mein chamak jata hai apna paimana-e-dil hai mai-e-gham se labrez bund se baada-e-ishrat ki chhalak jata hai kamar-e-yar ki likhta hun nazakat jis dam khama sau martaba kaghaz pe lachak jata hai yaad aati hai kabhi sohbat-e-ahbab agar ek shoala hai ki sine mein bhadak jata hai chandni chhupti hai takyon ke tale aaankhon mein khwab sone mein un ka dupatta jo sarak jata hai wasl ke zikr pe kahte hain bigad kar dekho aisi baaton se kaleja mera pak jata hai dil liya hai to khuda ke liye kah do sahab muskuraate ho tumhin par mera shak jata hai pyar karne ko jo badhta hun to kahte hain hato nashshe mein aa ke koi aisa bahak jata hai saqiya jam pila sikh se utra hai kabab der achchhi nahin ab lutf-e-gazak jata hai lab-e-khandan se na den kis liye qatil ko dua roz zakhmon pe namak aa ke chhidak jata hai shefta shahid-e-rana-e-sukhan ka hun 'habib' nae andaz pe dil mera phadak jata hai