nigah-e-naz teri jab se karsaz nahin

nigah-e-naz teri jab se karsaz nahin
jigar mein dard nahin qalb mein gudaz nahin

nafas nahin koi aisa ki jaan-gudaz nahin
ye mera ishq hai zahid teri namaz nahin

jise farishton se qudrat chhupa ke rakhti hai
sharab-khane mein wo raaz koi raaz nahin

hawas ki zindagi-e-jawedan pe lanat hai
bala se umr-e-mohabbat agar daraaz nahin

talluqat mohabbat ki jaan hoti hai
wo ek nigah ba-zahir jo dil-nawaz nahin

teri jafaon pe hai naz jis qadar mujh ko
mujhe wafaon pe bhi apni itna naz nahin

agar kisi ki mohabbat mein koi raaz na ho
to phir kisi ki mohabbat to koi raaz nahin

nigah bhi jurm kabhi jurm-e-be-nigahi bhi
kisi usul pe wo jalwa-gah-e-naz nahin

main be-niyaz sahi tum se bhi mohabbat main
magar tumhaari mohabbat se be-niyaz nahin

tum apne husn ki kha kar qasam mukar jao
agar tumhaari mohabbat ko mujh pe naz nahin

kal un ke jalwon pe tha mera ikhtiyar-e-nazar
aur aaj apni nazar ka bhi mein majaz nahin

nigah-e-naz ke allah re ye ghalat andaz
koi ye samjhe abhi un ko mashq-e-naz nahin

sunai deti hai mahsus jaan-o-dil ho kar
wo ek sada jo hanuz aashna-e-saz nahin

tumhaari bazm ki ye dost-dariyan tauba
kisi se jaise kisi ko kuchh ehtiraaz nahin

khula hua hai wo bab-e-qubul-e-mai-khana
agar nahin dar-e-tauba bala se baz nahin

teri ada-e-taghaful ki jaan se zalim
wo ek ada teri jis par tujhe bhi naz nahin

ab apne jalwon ka lillah ehtiram muaf
nigah-e-shauq ko ab tab-e-imtiyaz nahin

dobara kis se mili ishq ki nigah-e-garm
zamana-soz hai 'bismil' zamana-saz nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close