shab na ye sardi se yakh-basta zamin har tarf hai mah pukare hai falak-parwardagi to barf hai shah-e-gul ka hukm sayyaron ke ye hai bagh mein jo na pi kar aae mai naukar nahin bartarf hai surkh hai rumal-e-shaali us ke tahatul-jang tak mushaf rukhsar par ya jadwal-e-shangarf hai nau-khaton ke dil mein juz mashq-e-sitam tarz-e-wafa yaksar-e-mu ho sake kursi-nashin kya harf hai dars-e-ilm-e-ishq se waqif nahin mutlaq faqih nahw hi mein mahw hai ya sarf hi mein sarf hai mu se hai barik sher-o-shaeri ke darmiyan mani-e-misra-e-qamat kya qayamat zarf hai zahid-e-khushk-o-khunuk se kab ho sohbat un ki garm aatish-e-tar se 'muhib' jin ka labaalab zarf hai