shab-o-roz jaise thahar gae koi naz hai na niyaz hai tere hijr mein ye pata chala meri umr kitni daraaz hai ye jahan hai mahbas-e-be-aman koi sans le to bhala kahan tera husn aa gaya darmiyan yahi zindagi ka jawaz hai ho badan ke loch ka kya bayan kisi nai ki mauj hai par-fishan koi lai hai zer-e-qaba nihan koi shai ba-surat-e-raaz hai tere gham se dil phir amir ho koi chand nikle safir ho shab-e-dasht ho hai ye zindagi na nasheb hai na faraaz hai chale tair ud ke pas-e-shafaq hai udas udas rukh-e-ufuq ki bayaz-e-sham ka har waraq teri dastan-e-daraaz hai agar ehtiyat-e-khitab ho lab-e-sang khil ke gulab ho tu kisi sanam ko sada to de dar-e-but-kada abhi baz hai wahi rup saghar-e-jam mein bhi wahi aks dida-e-nam mein bhi mere waste tu haram mein bhi wahi 'shaz' ru-e-majaz hai