ho kis tarah na hum ko har dam hawa-e-matlab dekha jo khub hum ne duniya hai ja-e-matlab jo gul-badan ki aaya aaghosh mein hamare kuchh aur bu na nikli us mein siwae matlab ushshaq ki bhi ulfat khali nahin gharaz se marte hain ye bhi is par jis se barae matlab koi kisi ke upar hum ne fida na dekha munh par fida hain lekin dil mein fida-e-matlab matlab ke aashna ko ho kis se aashnai kab aashna kisi ka ho aashna-e-matlab gar bazm-e-raqs dekhi to wan bhi gosh-e-dil mein koi sada na aai ghair-az-sada-e-matlab zer-e-falak to hum se jati nahin tamanna han phir falak pe jawen jab hum se ja-e-matlab wo aabru ki jis par karte hain jaan tasadduq us ko bhi de chuke hain akasr barae matlab jab harf-e-abru tak pahuncha 'nazir' phir to kya kahiye aisi jagah jizya ki hae matlab