shab-rang parinde rag-o-reshe mein utar jaen kohsar agar meri jagah hon to bikhar jaen har samt siyah gard ki chadar si tani hai suraj ke musafir bhi idhar aaen to mar jaen sab khel hawaon ke ishaaron pe hai warna maujen kahan mukhtar ki ji chahe jidhar jaen is dasht mein pani ke siwa dhundhna kya hai aankhon mein meri ret ke sau zaiqe bhar jaen sae ki tarah sath hi chalta hai siyah-bakht ab hath ki bechaari lakiren bhi kidhar jaen