main zakhm zakhm rahun ruh ke kharabon se tu jism jism dahakta rahe gulabon se kisi ki chaal ne nashshe ka ras kashid kiya kisi ka jism tarasha gaya sharabon se saba ka hath hai aur hai tere gudaz ka lams main jagta hi rahun garm garm khwabon se qadam qadam hai chaka-chaund chahaton ka charagh main shahr-e-aina jalta hun aaftabon se 'ata' badan ki ye karwat bhi nim-shab kya thi tamam umr ujalta hun inqilabon se