shab teri charaghon si jalti rahi raat bhar shama si main pighalti rahi dil mein tufan jazbaat ka yun utha mauj sagar mein jaise machalti rahi wasl kei aarzu yun badan mein chubhi sej par karwaten main badalti rahi aankhon se nind k sab parinde ude main idhar se udhar hi tahalti rahi bah rahi pyar kei ek mujh mein nadi pyar kei aag mein phir bhi jalti rahi rahguzar mein lagi hai bahut thokaren main giri aur gir kar sambhalti rahi bas tasawwur kiya tha 'anis' aap ka samne dekh kar aankh malti rahi