kisi ko husn kisi ko ada nahin deta

kisi ko husn kisi ko ada nahin deta
kamal sab ko khuda ek sa nahin deta

ajib shakhs hai bhatke hue musafir ko
pata to deta hai par rasta nahin deta

ye sab hamare hi kamal ka natija hai
khuda kisi ko kabhi khud saza nahin deta

use kisi bhi wasile ki kya zarurat hai
wo haal-e-dil mujhe khud kyun bata nahin deta

ye bad-gumaniyan achchhi nahin kisi ke liye
tu bad-dua bhi na de gar dua nahin deta

ye daur daur-e-mobile hai ab yahan insan
tamasha dekhta hai aasra nahin deta

ye 'mehrban' bhi hijrat qubul kar leta
wo mujh ko apna agar wasta nahin deta


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close