shabab-e-mausam hare chaman mein utarna hai kamal jitna bhi hai sukhan mein utarna hai khuda-e-fan tu mere qalam mein utar ki main ne kisi ko ghazlon ke pairahan mein utarna hai wo jitna sona bhi koh-e-sar mein pada hua hai bana ke kundan kisi badan mein utarna hai nikhaar de jo meri nazar ke tamam manzar wo nur sar ke ujad-ban mein utarna hai abhi se zulmat-kade mein thak kar nidhaal ho tum abhi to suraj kiran kiran mein utarna hai ye apni fitrat hai ya ki sada-dili hai yaro jo hans ke bole use bhi man mein utarna hai hamein khabar hai ki kya hai ye shaghl-e-sher-goi ki resha resha jigar ka fan mein utarna hai kisi ko 'tahir-adim' masnad ye saunpni hai kisi ko dil ke akele-pan mein utarna hai