riwaj-o-rasm na ghar-bar ke musafir hain

riwaj-o-rasm na ghar-bar ke musafir hain
hum aur log hain us par ke musafir hain

safar qadim se darpesh kaun sa hai hamein
na jaane kaun si diwar ke musafir hain

na manzilon ka tayyun na raston ki khabar
hum aise log to be-kar ke musafir hain

na sar mein dar hai kahin ka na khauf-e-jaur-o-sitam
azab ras hain aazar ke musafir hain

hain farsh-e-rah balaen to ham-qadam aaseb
kisi jahan par asrar ke musafir hain

mile agar to bhare khushbuen khayalon mein
ki dast-e-yar-e-tarah-dar ke musafir hain

bina-e-rakht bina-e-safar tawakkul hai
madad na dast-e-madad-gar ke musafir hain

shumar-e-mauzua-e-fitrat mein sar khapate hain
saron mein daudte afkar ke musafir hain

wo dosti ho adawat ho kuchh bhi ho 'tahir'
har ek chiz mein mear ke musafir hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close