shabih-e-ruh kuchh aise nikhaar di gai hai ana faqiron ke kase pe war di gai hai tumhaare dil pe bhi kuchh to asar hua hoga gire-pade hue lafzon ko dhaar di gai hai hamari aankh ke aansu subut hain is ka hansi hamare labon ko udhaar di gai hai mere badan ke qafas aasman se phir is bar zawal-e-subh ki surkhi guzar di gai hai buland-qamati chubhne lagi thi duniya ko so mere kandhon se gardan utar di gai hai numu ke aakhiri imkan dhundhne ke liye mujhe zamin bhi khalaon ke par di gai hai tawil hijr ki muddat bhi hum faqiron ko khulus-e-dil se ba-sad ikhtisar di gai hai hamari ruh to kachche makan mein khush thi to kyun badan ko hayat-e-mazar di gai hai