ku-e-jaanan mujh se hargiz itni begana na ho ain mumkin hai ki phir teri taraf aana na ho ain mumkin hai ki dohraun hadis-e-digaran aaj jo meri zaban par hai wo afsana na ho ain mumkin hai ki ja pahunchun kisi mirrikh par is zamin se koi rishta koi yarana na ho pir-e-mai-khana ye mumkin hai ki mera ja-nashin rind ho par waqif-e-adab-e-mai-khana na ho tu mujhe farzangi ka fan na sikhla ai khirad ain mumkin hai ki mujh sa koi diwana na ho ain mumkin hai ki main tujh se bichhad jaane ke baad aisa ban jaun ki khud teri jise parwa na ho ain mumkin hai ki teri be-rukhi ko dekh kar main wo kafir hun jo mashur-e-rukh-e-zeba na ho soch mat ai dost tere baad kya hoga ye soch yani mere baad phir mujh sa koi paida na ho phir na utthe koi aarif meri waza-e-khas ka aur mujh sa shair-e-sarshaar-o-hosh-afza na ho yani mere baad koi mard-e-hikmat-afrin manzar-e-hikmat pe aae aur farzana na ho mujh ko tark-e-dosti ke is qadar tane na de main tera dushman nazar aane lagun aisa na ho phir kahe deta kahe deta kahe deta hun main ku-e-jaanan mujh se hargiz itni begana na ho