shabnam ba-gul-e-lala na khali z-ada hai dagh-e-dil-e-bedard nazar-gah-e-haya hai dil khun-shuda-e-kashmakash-e-hasrat-e-didar aaina ba-dast-e-but-e-bad-mast hina hai shole se na hoti hawas-e-shola ne jo ki ji kis qadar afsurdagi-e-dil pe jala hai timsal mein teri hai wo shokhi ki ba-sad-zauq aaina ba-andaz-e-gul aaghosh-kusha hai qumri kaf-e-khakistar o bulbul qafas-e-rang ai nala nishan-e-jigar-e-sokhta kya hai khu ne teri afsurda kiya wahshat-e-dil ko mashuqi o be-hauslagi tarfa bala hai majburi o dawa-e-giraftari-e-ulfat dast-e-tah-e-sang-amda paiman-e-wafa hai malum hua haal-e-shahidan-e-guzashta tegh-e-sitam aaina-e-taswir-numa hai ai partaw-e-khurshid-e-jahan-tab idhar bhi sae ki tarah hum pe ajab waqt pada hai na-karda gunahon ki bhi hasrat ki mile dad ya rab agar in karda gunahon ki saza hai beganagi-e-khalq se be-dil na ho 'ghaalib' koi nahin tera to meri jaan khuda hai