shabnam ke aansu phul par ye to wahi qissa hua aankhen meri bhigi hui chehra tera utra hua ab in dinon meri ghazal khushbu ki ek taswir hai har lafz ghunche ki tarah khil kar tera chehra hua shayad use bhi le gae achchhe dinon ke qafile is bagh mein ek phul tha teri tarah hansta hua har chiz hai bazar mein is hath de us hath le izzat gai shohrat mili ruswa hue charcha hua mandir gae masjid gae piron faqiron se mile ek us ko pane ke liye kya kya kiya kya kya hua anmol moti pyar ke duniya chura kar le gai dil ki haweli ka koi darwaza tha tuta hua barsat mein diwar-o-dar ki sari tahriren mitin dhoya bahut mitta nahin taqdir ka likkha hua