shadi na karo jhagdon ka saman na rahega sahil pe kabhi khatra-e-tufan na rahega duniya ko fana hai koi insan na rahega lekin nahin sunte hain ki shaitan na rahega faqe hon to ulfat ka bhi unwan na rahega jab ho gham-e-jaanan gham-e-dauran na rahega rashan ki qasam gar yahi haalat rahi kuchh din koi bhi kisi ke yahan mehman na rahega bad-maash ye kahte the jo aazad hua hind hogi na saza ek bhi zindan na rahega banti yunhi taron se jo chunta raha kante sahra mein koi khar-e-mughilan na rahega bulwaya rafu-gar ko abhi chaak ki hai fikr tab aaega jab pas gareban na rahega sin dhalte hi sab baz ke pinjron se udenge lamchhar na rahega koi tuyyan na rahega mardon ke the marghat jahan hain zindon ke bangle sunte hain koi gor-e-ghariban na rahega han popla munh aashiq-e-nashad ko dekho phir zehn mein bhi chit koi tuyyan na rahega