kisi hasin pe naseh ko pyar aae to hamein bukhar hai us ko bukhar aae to uthae ishq ka kandhe pe bar aae to quli bane ki bane hain kahaar aae to bala ki tarah na ushshaq sab chimat jaen zaban-e-shokh pe han ek bar aae to jo sin dhala hai to ho waqf-e-surkhi-o-powder khizan ke daur mein fasl-e-bahaar aae to wo ek hum hain ki har sans hai wafa-amez wo ek tu hai jise eatibar aae to jawani aai hai naz-o-ada ayan ho jaen hai dam pe husn ki khichdi achaar aae to suna hai gor-e-ghariban mein aspatal nahin agar kisi ko lahad mein bukhar aae to