shadid rut mein mujhe jis ka dar ziyaada tha gira shajar wahi jis par samar ziyaada tha mere adu ka koi war bhi nahin chuka meri safon mein kahin ek sar ziyaada tha palat ke aae to ghodon ki pushten khali thin meri sipah mein marne ka dar ziyaada tha guzishta raat qayam-o-sujud mein guzri guzishta raat qayamat ka dar ziyaada tha bata hai aaj to sab dam ghute se marte hain tamam bhaiyon ko ek ghar ziyaada tha