shaer-e-fitrat hun jab bhi fikr farmata hun main ruh ban kar zarre zarre mein sama jata hun main aa ki tujh bin is tarah ai dost ghabraata hun main jaise har shai mein kisi shai ki kami pata hun main jis qadar afsana-e-hasti ko dohraata hun main aur bhi be-gana-e-hasti hua jata hun main jab makan-o-la-makan sab se guzar jata hun main allah allah tujh ko khud apni jagah pata hun main teri surat ka jo aaina use pata hun main apne dil par aap kya kya naz farmata hun main yak-ba-yak ghabra ke jitni dur hat aata hun main aur bhi us shokh ko nazdik-tar pata hun main meri hasti shauq-e-paiham meri fitrat iztirab koi manzil ho magar guzra chala jata hun main hae-ri majburiyan tark-e-mohabbat ke liye mujh ko samjhate hain wo aur un ko samjhata hun main meri himmat dekhna meri tabiat dekhna jo sulajh jati hai gutthi phir se uljhata hun main husn ko kya dushmani hai ishq ko kya bair hai apne hi qadmon ki khud hi thokaren khata hun main teri mahfil tere jalwe phir taqaza kya zarur le utha jata hun zalim le chala jata hun main ta-kuja ye parda-dari-ha-e-ishq-o-laf-e-husn han sambhal jaen do-alam hosh mein aata hun main meri khatir ab wo taklif-e-tajalli kyun karen apni gard-e-shauq mein khud hi chhupa jata hun main dil mujassam sher-o-naghma wo sarapa rang-o-bu kya fazaen hain ki jin mein hal hua jata hun main ta-kuja zabt-e-mohabbat ta-kuja dard-e-firaq rahm kar mujh par ki tera raaz kahlata hun main wah-re shauq-e-shahadat ku-e-qatil ki taraf gungunata raqs karta jhumta jata hun main ya wo surat khud jahan-e-rang-o-bu mahkum tha ya ye aalam apne sae se daba jata hun main dekhna is ishq ki ye turfa-kari dekhna wo jafa karte hain mujh par aur sharmata hun main ek dil hai aur tufan-e-hawadis ai 'jigar' ek shisha hai ki har patthar se takraata hun main