sukhan mein rang tumhaare khayal hi ke to hain ye sab karishme hawa-e-visal hi ke to hain kaha tha tum ne ki lata hai kaun ishq ki tab so hum jawab tumhaare sawal hi ke to hain zara si baat hai dil mein agar bayan ho jae tamam masale izhaar-e-haal hi ke to hain yahan bhi us ke siwa aur kya nasib hamein khutan mein rah ke bhi chashm-e-ghazal hi ke to hain jasarat-e-sukhan-e-shairan se darna kiya gharib mashghala-e-qil-o-qal hi ke to hain hawa ki zad pe hamara safar hai kitni der charagh hum kisi sham-e-zawal hi ke to hain