shaeri mazhar-e-ahwal-e-darun hai yun hai ek ek sher bata deta hai yun hai yun hai ek teri yaad hi deti hai mere dil ko qarar ek tera nam hi ab wajh-e-sukun hai yun hai khushk sahra bhi nazar aata hai gulzar-e-iram hamrahi ka ye teri sara fusun hai yun hai ishq har ek se ghulami ki ada mangta hai us ke darbar mein jo sar hai nigun hai yun hai khak chhanenge chalo hum bhi bayabanon ki jab yahi shewa-e-arbab-e-junun hai yun hai haal-e-dil sun ke mera chup na raho kuchh to kaho khamushi neamat-e-goyai ka khun hai yun hai jab bhi mahfil mein ghazal apni sunata hai 'khumar' tabsire hote hain har sher pe yun hai yun hai