shanakht mit gai chehre pe gard itni thi hamari zindagi sahra-naward itni thi tamam-umr use sinchte rahe lekin gulab de na saki shakh zard itni thi gire na ashk kabhi hadson ke daman par hamari aankh shanasa-e-dard itni thi teri pukar ka chehra dikhai de na saka mere qarib sadaon ki gard itni thi talash-e-zist mein dil jaisi chiz chhut gai hikayat-e-dil-o-jaan fard fard itni thi jhulasti dhup ka us par guman guzarta tha bichhi thi rah mein jo chhanw zard itni thi pighal saki na kabhi barf akele-pan ki 'khumar' wo shoala-ru bhi tabiat ki sard itni thi