shafaq-e-shab se ubharta hua suraj sochen barf ki tah se koi chashma ubalta dekhen raushni dhup hawa mil ke kiya sab ne nidhaal ab tamanna hai kisi andhe kuen mein bhatken jalte-bujhte hue is shahr pe kya kuchh likkha aaj sab likkha hua aankh pe la kar rakh den jaane kyun dubta rahta hun main apne andar jaane kyun sujhti rahti hain ye ulti baaten chhin len apni murawwat ka ye zina gar hum aaj 'muztar' use aakash se girta dekhen