soch bhi us din ko jab tu ne mujhe socha na tha koi dariya dasht ke atraf mein bahta na tha us ko kab fursat thi jo chehron ko padhta ghaur se warna sath-e-aina ka har waraq sada na tha jaane kyun ab raat din ghar mein pada rahta hai wo pahle yun khud mein kabhi simta hua rahta na tha khushbuon rangon ko pi leti hai aakar zard-sham ped hai andesha-e-anjam to sukha na tha shah-rahon se gurezan hai magar kuchh soch kar aadatan pahle to wo pagdandiyan chalta na tha